chand siyah paD chuka hai
be-shumār sūraj āsmān meñ raushan hote haiñ
aur zamīn ke siine se dhuāñ uThne lagtā hai
tezī se baḌhte hue qadmoñ kī aahaT
aur tez hotī jaatī hai
aur kab mādūm ho jaatī hai patā hī nahīñ chaltā
ujāle ne ham se rangoñ kī shanāḳht chhīn lī hai
hamārī gardanoñ kī rageñ suuj ga.ī haiñ
ki naġhme aur naale meñ koī farq baaqī nahīñ rahā
lakḌiyāñ ab bhī tumhāre chūlhoñ meñ sulag rahī haiñ
uTho
aur apne kivāḌoñ ko nazr-e-ātish kar do
ki chāñd siyāh paḌ chukā hai
be-shumar suraj aasman mein raushan hote hain
aur zamin ke sine se dhuan uThne lagta hai
tezi se baDhte hue qadmon ki aahaT
aur tez hoti jati hai
aur kab madum ho jati hai pata hi nahin chalta
ujale ne hum se rangon ki shanaKHt chhin li hai
hamari gardanon ki ragen suj gai hain
ki naghme aur nale mein koi farq baqi nahin raha
lakDiyan ab bhi tumhaare chulhon mein sulag rahi hain
uTho
aur apne kiwaDon ko nazr-e-atish kar do
ki chand siyah paD chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.