chand sultana
uḳhuvvat ke parastāroñ kī ik rañgīn duniyā thī
harīm-e-nūr-o-naġhma bazm-e-nāhīd-o-surayyā thī
vo duniyā sham-e-āzādī ke parvānoñ kī bastī thī
jahāñ fitrat sañvartī thī jahāñ mastī barastī thī
vo duniyā zindagī ke phuul barsātī huī duniyā
mulā.em nuzhatoñ kī raqs farmātī huī duniyā
jahāñ ik saañs bhī lene se ghabrāte the hañgāme
jalāl-e-be-amāñ se Dar ke so jaate the hañgāme
vo duniyā rashk-e-firdaus-e-barīñ ma.alūm hotī thī
ḳhudā kā shāhkār-e-behtarīñ ma.alūm hotī thī
jahāñ ishq-o-junūñ husn-o-vafā kī rājdhānī thī
mohabbat masnad-ārā thī mohabbat pur-javānī thī
jahāñ īsār-o-ḳhuddārī ke parcham lahlahāte the
jahāñ ma.asūm bachche maut se āñkheñ laḌāte the
musalsal bāda-e-asūdagī ke daur chalte the
lahū se parvarish paa.e hue armāñ nikalte the
adū jis kā ḳharāb-e-ġham shikār-e-nā-murādī thā
har ik sāhil-nashīñ jāñ-soz tūfānoñ kā aadī thā
vahī gulshan ab ik vīrāna-e-ābad hai goyā
ġhilāf-e-sāz meñ lipTī huī fariyād hai goyā
abhī qile kī dīvāroñ meñ vo anvār baaqī haiñ
tire zauq-e-tapish ke muzmahil āsār baaqī haiñ
ye dīvāreñ tirī jur.at kā afsāna sunātī haiñ
hanūz us meñ himāla kī adā.eñ paa.ī jaatī haiñ
hanūz in sarfaroshoñ ke tarāne haiñ fazāoñ meñ
tirī āvāz-e-pā mahfūz hai ab tak havāoñ meñ
dil-e-vīrāñ ko muddat se hai terā intizār aa jā
ḳhudārā ai bahādur inqilābī shahsavār aa jā
uKHuwwat ke parastaron ki ek rangin duniya thi
harim-e-nur-o-naghma bazm-e-nahid-o-surayya thi
wo duniya sham-e-azadi ke parwanon ki basti thi
jahan fitrat sanwarti thi jahan masti barasti thi
wo duniya zindagi ke phul barsati hui duniya
mulaem nuzhaton ki raqs farmati hui duniya
jahan ek sans bhi lene se ghabraate the hangame
jalal-e-be-aman se Dar ke so jate the hangame
wo duniya rashk-e-firdaus-e-barin malum hoti thi
KHuda ka shahkar-e-behtarin malum hoti thi
jahan ishq-o-junun husn-o-wafa ki rajdhani thi
mohabbat masnad-ara thi mohabbat pur-jawani thi
jahan isar-o-KHuddari ke parcham lahlahate the
jahan masum bachche maut se aankhen laDate the
musalsal baada-e-asudagi ke daur chalte the
lahu se parwarish pae hue arman nikalte the
adu jis ka KHarab-e-gham shikar-e-na-muradi tha
har ek sahil-nashin jaan-soz tufanon ka aadi tha
wahi gulshan ab ek virana-e-abad hai goya
ghilaf-e-saz mein lipTi hui fariyaad hai goya
abhi qile ki diwaron mein wo anwar baqi hain
tere zauq-e-tapish ke muzmahil aasar baqi hain
ye diwaren teri jurat ka afsana sunati hain
hanuz us mein himala ki adaen pai jati hain
hanuz in sarfaroshon ke tarane hain fazaon mein
teri aawaz-e-pa mahfuz hai ab tak hawaon mein
dil-e-viran ko muddat se hai tera intizar aa ja
KHudara ai bahadur inqilabi shahsawar aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.