chandni kahti hai
roz-o-shab
halqa-e-āfāt haiñ
har lahza javāñ
silsila vaqt kī gardish kā yahāñ
sab haiñ pābandī-e-auqāt-e-zamāna meñ magan
jān-o-tan fahm-o-ḳhirad hosh-o-gumāñ
tum hī tanhā nahīñ is sail-e-ravāñ meñ majbūr
maiñ bhī jiitī huuñ yahāñ ḳhud se gurezāñ ho kar
phir bhī ik lamhe kī fursat jo mayassar aa.e
dil vahīñ chupke se dhaḌkan ko jagā detā hai
tār-rātoñ meñ bikhartī haiñ rupahlī kirneñ
chāñdnī pichhlī mulāqātoñ ke ā.īne meñ
roz-e-ā.inda se miltī hai gale
kahtī hai
an-kahī bātoñ kī ḳhushbū se mo.attar rakhnā
apnī āvāz abhī
zindagī kitnī hī be-mehr sahmī
phir bhī bahār aa.egī
āñkhoñ meñ basā.e rakhnā mere andāz abhī
roz-o-shab
halqa-e-afat hain
har lahza jawan
silsila waqt ki gardish ka yahan
sab hain pabandi-e-auqat-e-zamana mein magan
jaan-o-tan fahm-o-KHirad hosh-o-guman
tum hi tanha nahin is sail-e-rawan mein majbur
main bhi jiti hun yahan KHud se gurezan ho kar
phir bhi ek lamhe ki fursat jo mayassar aae
dil wahin chupke se dhaDkan ko jaga deta hai
tar-raaton mein bikharti hain rupahli kirnen
chandni pichhli mulaqaton ke aaine mein
roz-e-ainda se milti hai gale
kahti hai
an-kahi baaton ki KHushbu se moattar rakhna
apni aawaz abhi
zindagi kitni hi be-mehr sahmi
phir bhi bahaar aaegi
aankhon mein basae rakhna mere andaz abhi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 210)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.