chandni raat mein
aur maiñ chāñdnī raat meñ so gayā
dekhtā kyā huuñ
phailī huī chāñdnī ke kināre kināre
ka.ī barq-raftār parchhā.iyāñ
jaane kab se ta.āqub-kunāñ
samt-e-nā-āshnā kī taraf haiñ ravāñ
aur maiñ āhista āhista aage baḌhā
rāhgīroñ se dāman bachātā huā
hadd-e-āfāq se jab guzarne lagā
dekhtā kyā huuñ
ik be-karāñ bahr hai āsmāñ se zamīñ tak muhīt
jis meñ har sāya-e-tez-rau Duub kar
dhaar letā hai bhīge ujāle kā ruup
maiñ bhī Duubā huuñ is bahr meñ bār-hā
chāñdnī kī jhalak bhī na paa.ī kahīñ
jism o jaañ kī siyāhī ubhartī rahī
aur har baar tārīk māhaul meñ
aañkh khultī rahī
chāñdnī raat meñ!!
aur main chandni raat mein so gaya
dekhta kya hun
phaili hui chandni ke kinare kinare
kai barq-raftar parchhaiyan
jaane kab se taaqub-kunan
samt-e-na-ashna ki taraf hain rawan
aur main aahista aahista aage baDha
rahgiron se daman bachata hua
hadd-e-afaq se jab guzarne laga
dekhta kya hun
ek be-karan bahr hai aasman se zamin tak muhit
jis mein har saya-e-tez-rau Dub kar
dhaar leta hai bhige ujale ka rup
main bhi Duba hun is bahr mein bar-ha
chandni ki jhalak bhi na pai kahin
jism o jaan ki siyahi ubharti rahi
aur har bar tarik mahaul mein
aankh khulti rahi
chandni raat mein!!
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 65)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.