chandni
vaqt aa gayā ab raat kā
phir tham ga.ī chaltī havā
ḳhāmosh hai saarī fazā
chāroñ taraf ik nuur sā
barsā rahī hai chāñdnī
dekho vo bādal aa ga.e
aur chāñd par bhī chhā ga.e
is nuur ke āñchal meñ ab
is qaid is bādal meñ ab
ghabrā rahī hai chāñdnī
ai lo vo bādal chhaT ga.e
aur chāñd par se haT ga.e
har har dar-o-dīvār par
dariyā pe aur kohsār par
phir chhā rahī hai chāñdnī
ab to sub.h hone lagī
kuchh baḌh chalī hai raushnī
ruḳhsat hue taare bhī sab
rotī huī shabnam ko ab
bahlā rahī hai chāñdnī
waqt aa gaya ab raat ka
phir tham gai chalti hawa
KHamosh hai sari faza
chaaron taraf ek nur sa
barsa rahi hai chandni
dekho wo baadal aa gae
aur chand par bhi chha gae
is nur ke aanchal mein ab
is qaid is baadal mein ab
ghabra rahi hai chandni
ai lo wo baadal chhaT gae
aur chand par se haT gae
har har dar-o-diwar par
dariya pe aur kohsar par
phir chha rahi hai chandni
ab to subh hone lagi
kuchh baDh chali hai raushni
ruKHsat hue tare bhi sab
roti hui shabnam ko ab
bahla rahi hai chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.