chaqu ka dasta
maiñ abhī chhoTā thā
kisī ne mere haath meñ chāqū thamā diyā
maiñ ne apnī umr kī lakīr ko
chhe jagah se kaaT Daalā
aur mohabbat kī lakīr
chāqū kī nok se khurach dī
chāqū kā dasta mujhe kuchh be-hañgam sā mahsūs huā
use maiñ ne
hathauḌe kī zarb se
chāqū se alāhida kar diyā
zarā sī dhaar lagāne ke ba.ad
ab use donoñ taraf se isti.māl kiyā jā saktā thā
mujhe yaad nahīñ
maiñ ne use kitnī jagah isti.māl kiyā hogā
albatta us se merī hatheliyoñ par
ka.ī be sī lakīreñ paḌ ga.iiñ
aur ek haath kī tamām uñgliyāñ
talaf ho ga.iiñ
hathelī kī be-zarūrat lakīroñ ne
merī ba.ad kī zindagī meñ
ka.ī mushkilāt paidā kiiñ
sab se baḌī mushkil
to ḳhud ye chāqū thā
jo apnī do tarfa dhaar se
mujhe zaḳhmī kar rahā thā
ek mushkil aur hai
aisā hī ek chāqū
ek din aa.ine meñ mere aks ko
do masāvī TukḌoñ meñ taqsīm kar gayā
aur maiñ Thiik se ye bhī na dekh sakā
ki us kā dasta kis ke haath meñ thā
main abhi chhoTa tha
kisi ne mere hath mein chaqu thama diya
main ne apni umr ki lakir ko
chhe jagah se kaT Dala
aur mohabbat ki lakir
chaqu ki nok se khurach di
chaqu ka dasta mujhe kuchh be-hangam sa mahsus hua
use main ne
hathauDe ki zarb se
chaqu se alahida kar diya
zara si dhaar lagane ke baad
ab use donon taraf se istimal kiya ja sakta tha
mujhe yaad nahin
main ne use kitni jagah istimal kiya hoga
albatta us se meri hatheliyon par
kai be si lakiren paD gain
aur ek hath ki tamam ungliyan
talaf ho gain
hatheli ki be-zarurat lakiron ne
meri baad ki zindagi mein
kai mushkilat paida kin
sab se baDi mushkil
to KHud ye chaqu tha
jo apni do tarfa dhaar se
mujhe zaKHmi kar raha tha
ek mushkil aur hai
aisa hi ek chaqu
ek din aaine mein mere aks ko
do masawi TukDon mein taqsim kar gaya
aur main Thik se ye bhi na dekh saka
ki us ka dasta kis ke hath mein tha
- Book : aaj (Pg. 358)
- Author : ajmal
- Publication : 316madiina maal ,abdullah haroon road sadar karachi-74400 (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.