chaT wala
pakvān kyā maze ke laatā hai chaaT vaalā
le kar baḌā sā thailā aatā hai chaaT vaalā
bamba.ī kī bhail-pūrī ujjain kī kachaurī
khā kar inheñ huī hai har ik zabāñ chaTorī
ragḌā masāla bachcho jis shaḳhs ne na khāyā
samjho ki zindagī kā us ne maza na paayā
Tikyāñ ye ālūoñ kī is par maze ke chhole
lazzat jo un kī paa.e gūñgā zabān khole
dekho dahī-baḌā to aatā hai muñh meñ paanī
aksar to naam un kā laatā hai muñh meñ paanī
yuuñ surḳh se tule haiñ ye papḌiyāñ samose
jo ik nazar bhī dekhe khāne kī baat soche
garmā-garam pakauḌe chaTnī phir imliyoñ kī
aalū baḌe maze ke mircheñ bhī tez tīkhī
khānā zarūr bachcho āḳhir meñ paanī puurī
is ko agar na khaao phir chaaT hai adhūrī
likhī 'niyāz' ne bhī ye nazm chaaT khā kar
tum bhī sunāo bachcho sab ko ye nazm gā kar
pakwan kya maze ke lata hai chaT wala
le kar baDa sa thaila aata hai chaT wala
bambai ki bhail-puri ujjain ki kachauri
kha kar inhen hui hai har ek zaban chaTori
ragDa masala bachcho jis shaKHs ne na khaya
samjho ki zindagi ka us ne maza na paya
Tikyan ye aaluon ki is par maze ke chhole
lazzat jo un ki pae gunga zaban khole
dekho dahi-baDa to aata hai munh mein pani
aksar to nam un ka lata hai munh mein pani
yun surKH se tule hain ye papDiyan samose
jo ek nazar bhi dekhe khane ki baat soche
garma-garam pakauDe chaTni phir imliyon ki
aalu baDe maze ke mirchen bhi tez tikhi
khana zarur bachcho aaKHir mein pani puri
is ko agar na khao phir chaT hai adhuri
likhi 'niyaz' ne bhi ye nazm chaT kha kar
tum bhi sunao bachcho sab ko ye nazm ga kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.