chait
koyal
mere shabdoñ ko tū chhape-ḳhāne le jā
vo aḳhbār to paḌhte hoñge
paḌh ke ḳhabar mere marne kī
dauḌe dauḌe ghar ā.eñge
Dākiye
tū chiTThī ke bajā.e aam mirī bagiyā ke ab kī
un ke daftar le jā
sab se chhupā ke aam vo mere
hāthoñ meñ bhar leñge
phir kurte ke nīche, pīchhe, siine ke jañgal meñ un ko dubkā leñge
sukhī havāo!
ab kī jab tum un ke suhāne ghar se guzro
Tesū ke kuchh phuul mahakte
un kī khiḌkī pe rakh aanā
raat ga.e jab aañkh meñ un kī
mere badan ke phuul jaleñge
ThanDe badan pe aag maleñge
jaldī jaldī khiḌkī tak pahuñcheñge
un pe jalte hoñToñ kā ik chumban!
chait mahīne vaalā chumban mahkā deñge!!
koyal
mere shabdon ko tu chhape-KHane le ja
wo aKHbar to paDhte honge
paDh ke KHabar mere marne ki
dauDe dauDe ghar aaenge
Dakiye
tu chiTThi ke bajae aam meri bagiya ke ab ki
un ke daftar le ja
sab se chhupa ke aam wo mere
hathon mein bhar lenge
phir kurte ke niche, pichhe, sine ke jangal mein un ko dubka lenge
sukhi hawao!
ab ki jab tum un ke suhane ghar se guzro
Tesu ke kuchh phul mahakte
un ki khiDki pe rakh aana
raat gae jab aankh mein un ki
mere badan ke phul jalenge
ThanDe badan pe aag malenge
jaldi jaldi khiDki tak pahunchenge
un pe jalte honTon ka ek chumban!
chait mahine wala chumban mahka denge!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.