chak-pheri
bachpan kī galiyoñ meñ jin jin gharoñ ke shīshe merī geñd se TuuTe the
un sab kī kircheñ kabhī kabhī merī āñkhoñ meñ chubhne lagtī haiñ
jaltī dopahroñ meñ mere hāthoñ ujḌe hue ghoñsloñ ke behāl parindoñ kī
chīḳheñ fariyādeñ merī be-ghar shāmoñ meñ kohrām machātī rahtī haiñ
chaknāchūr dinoñ reza reza rātoñ meñ so.e hue sab ḳhvāb jagātī rahtī haiñ
apne ḳhanjar apne hī siine meñ utarne lagte haiñ
zinda chehre jalte bujhte lamhoñ kī āġhosh meñ marne lagte haiñ
bachpan ki galiyon mein jin jin gharon ke shishe meri gend se TuTe the
un sab ki kirchen kabhi kabhi meri aankhon mein chubhne lagti hain
jalti dopahron mein mere hathon ujDe hue ghonslon ke behaal parindon ki
chiKHen fariyaaden meri be-ghar shamon mein kohram machati rahti hain
chaknachur dinon reza reza raaton mein soe hue sab KHwab jagati rahti hain
apne KHanjar apne hi sine mein utarne lagte hain
zinda chehre jalte bujhte lamhon ki aaghosh mein marne lagte hain
- Book : Kitab-e-Dil-O-Dunya (Pg. 468)
- Author : Iftikhar Arif
- Publication : Pakistan Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.