chakle
raat ga.e tak ghā.el naġhme karte haiñ elaan yahāñ
ye duniyā hai sañg-diloñ kī koī nahīñ insān yahāñ
izzat vāloñ kī zillat kā sab se baḌā bāzār hai ye
chukte haiñ ġhairat ke saude bikte haiñ īmān yahāñ
bhiik meñ bhī māñgo to koī pyaar na Daale jholī meñ
bin māñge mil jaate haiñ rusvā.ī ke sāmān yahāñ
zar-dāroñ ko naġhmoñ meñ jab jism dikhā.ī detā hai
ek mahaktī sej pe akasr TūTtī hai har taan yahāñ
mamtā ke hoñToñ par jab chāñdī kī mohreñ lagtī haiñ
maañ ḳhud apnī beTī ko kar detī hai qurbān yahāñ
apnā ḳhuun hī baḌh kar apne ḳhuun kī bolī detā hai
kis ne kis par haath baḌhāyā koī nahīñ pahchān yahāñ
paap ke is mandir meñ kyā kyā bhaav batā.e rām-janī
shaam Dhale jab aan birājeñ sone ke bhagvān yahāñ
raat ga.e tak jaage sāñvlī kaale choroñ kī ḳhātir
aur agar inkār kare kahlā.e nā-farmān yahāñ
jhilmil kartī poshākoñ se chāhe badbū aatī ho
ḳhud jal kar mahfil ko ḳhushbū detā hai lobān yahāñ
raat gae tak ghael naghme karte hain elan yahan
ye duniya hai sang-dilon ki koi nahin insan yahan
izzat walon ki zillat ka sab se baDa bazar hai ye
chukte hain ghairat ke saude bikte hain iman yahan
bhik mein bhi mango to koi pyar na Dale jholi mein
bin mange mil jate hain ruswai ke saman yahan
zar-daron ko naghmon mein jab jism dikhai deta hai
ek mahakti sej pe akasr TuTti hai har tan yahan
mamta ke honTon par jab chandi ki mohren lagti hain
man KHud apni beTi ko kar deti hai qurban yahan
apna KHun hi baDh kar apne KHun ki boli deta hai
kis ne kis par hath baDhaya koi nahin pahchan yahan
pap ke is mandir mein kya kya bhaw batae ram-jani
sham Dhale jab aan birajen sone ke bhagwan yahan
raat gae tak jage sanwli kale choron ki KHatir
aur agar inkar kare kahlae na-farman yahan
jhilmil karti poshakon se chahe badbu aati ho
KHud jal kar mahfil ko KHushbu deta hai loban yahan
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 254)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.