Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chal aa ek aisi nazm kahun

Amir Ameer

chal aa ek aisi nazm kahun

Amir Ameer

MORE BYAmir Ameer

    chal aa ik aisī nazm kahūñ

    jo lafz kahūñ vo ho jaa.e

    bas ashk kahūñ to ik aañsū

    tire gore gaal ko dho jaa.e

    maiñ aa likkhūñ aa jaa.e

    maiñ baiTh likhūñ aa baiThe

    mire shāne par sar rakkhe

    maiñ niiñd kahūñ so jaa.e

    maiñ kāġhaz par tire hoñT likhūñ

    tire hoñToñ par muskān aa.e

    maiñ dil likkhūñ dil thāme

    maiñ gum likkhūñ dil kho jaa.e

    tire haath banā.ūñ pencil se

    phir haath pe tere haath rakhūñ

    kuchh ulTā sīdhā farz karūñ

    kuchh sīdhā ulTā ho jaa.e

    maiñ aah likhūñ haa.e kare

    bechain likhūñ bechain ho

    phir maiñ bechain be kāTūñ

    tujhe chain zarā ho jaa.e

    abhī 'ain likhūñ soche mujhe

    phir shiin likhūñ tirī niiñd uḌe

    jab qaaf likhūñ tujhe kuchh kuchh ho

    maiñ 'ishq likhūñ tujhe ho jaa.e

    chal aa ek aisi nazm kahun

    jo lafz kahun wo ho jae

    bas ashk kahun to ek aansu

    tere gore gal ko dho jae

    main aa likkhun tu aa jae

    main baiTh likhun tu aa baiThe

    mere shane par sar rakkhe tu

    main nind kahun tu so jae

    main kaghaz par tere honT likhun

    tere honTon par muskan aae

    main dil likkhun tu dil thame

    main gum likkhun dil kho jae

    tere hath banaun pencil se

    phir hath pe tere hath rakhun

    kuchh ulTa sidha farz karun

    kuchh sidha ulTa ho jae

    main aah likhun tu hae kare

    bechain likhun bechain ho tu

    phir main bechain ka be kaTun

    tujhe chain zara sa ho jae

    abhi 'ain likhun tu soche mujhe

    phir shin likhun teri nind uDe

    jab qaf likhun tujhe kuchh kuchh ho

    main 'ishq likhun tujhe ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now