chala aata hai KHud anjam se anjaan hai bakra
chalā aatā hai ḳhud anjām se anjān hai bakrā
nahīñ hargiz nahīñ kis ne kahā nādān hai bakrā
jo sach pūchho to is ruḳh se vo ham logoñ se behtar hai
ki apne ḳhāliq o mālik pe ḳhud qurbān hai bakrā
haqīqat meñ vahī bakrā hai achchhā dekh kar jis ko
qasā.ī ki uThe farba hai ālī-shān hai bakrā
bhalā tujh tak pahuñch sakte haiñ ham insān ab kyūñkar
hamāre ghar tū aayā hai tirā ehsān hai bakrā
qasā.ī kī zarūrat hī nahīñ hai ba.az bakroñ ko
chhurī ko dekh kar ḳhud aap hī qurbān hai bakrā
dehātī log bhī allāh-miyāñ kī gaa.e haiñ goyā
ki bakre par likhā hai made-in-jāpān hai bakrā
mire abbū mujhe dilvā.iye bakrā bahar-sūrat
mirī ḳhvāhish hai qurbānī mirā armān hai bakrā
labāda surḳh oḌhe taḳht par baiThā hai naḳhvat se
ki aalā nasl kā hai aur ālī-shān hai bakrā
lagā manDī pahuñch kar ashraf-ul-maḳhlūq haiñ bakre
huā insān ko mahsūs ḳhud insān hai bakrā
chala aata hai KHud anjam se anjaan hai bakra
nahin hargiz nahin kis ne kaha nadan hai bakra
jo sach puchho to is ruKH se wo hum logon se behtar hai
ki apne KHaliq o malik pe KHud qurban hai bakra
haqiqat mein wahi bakra hai achchha dekh kar jis ko
qasai ki uThe farba hai aali-shan hai bakra
bhala tujh tak pahunch sakte hain hum insan ab kyunkar
hamare ghar tu aaya hai tera ehsan hai bakra
qasai ki zarurat hi nahin hai baz bakron ko
chhuri ko dekh kar KHud aap hi qurban hai bakra
dehati log bhi allah-miyan ki gae hain goya
ki bakre par likha hai made-in-japan hai bakra
mere abbu mujhe dilwaiye bakra bahar-surat
meri KHwahish hai qurbani mera arman hai bakra
labaada surKH oDhe taKHt par baiTha hai naKHwat se
ki aala nasl ka hai aur aali-shan hai bakra
laga manDi pahunch kar ashraf-ul-maKHluq hain bakre
hua insan ko mahsus KHud insan hai bakra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.