chale aana
ye sach hai tum jahāñ ho vo jagah jannat kī mānind hai
vahāñ ke nuqra.ī din meñ
divālī jaisī rāteñ haiñ
sunahrī zindagī kā lamha lamha jagmagātā hai
magar shāyad kisī pal ke kisī nanhe se lamhe meñ
agar chhū kar guzar jaa.e tumheñ mamtā kā ik jhoñkā
agar maañ kī mohabbat ashk ban kar aañkh chhalkā.e
guzishta saath guzrī sā.atoñ kī yaad aa jaa.e
to phir beTo
tum apne des lauT aanā
ki jab bhī shaam Dhaltī hai
to sab uḌte parinde lauT aate haiñ
thake dahqāñ apnī bastiyoñ kī samt aate haiñ
musāfir lauT aate haiñ
gharauñde jagmagāte haiñ
suno beTo
agar in vāpsī ke isti.āroñ kā koī pahlū
tumheñ bhī muzmahil kar de
to phir tum bhī
palaT aane kā koī rāsta imkān meñ rakhnā
ki maañ kī muntazar raste kī taktī
chashm-e-pur-nam dhyān rakhnā
ye sach hai tum jahan ho wo jagah jannat ki manind hai
wahan ke nuqrai din mein
diwali jaisi raaten hain
sunahri zindagi ka lamha lamha jagmagata hai
magar shayad kisi pal ke kisi nanhe se lamhe mein
agar chhu kar guzar jae tumhein mamta ka ek jhonka
agar man ki mohabbat ashk ban kar aankh chhalkae
guzishta sath guzri saaton ki yaad aa jae
to phir beTo
tum apne des lauT aana
ki jab bhi sham Dhalti hai
to sab uDte parinde lauT aate hain
thake dahqan apni bastiyon ki samt aate hain
musafir lauT aate hain
gharaunde jagmagate hain
suno beTo
agar in wapsi ke istiaron ka koi pahlu
tumhein bhi muzmahil kar de
to phir tum bhi
palaT aane ka koi rasta imkan mein rakhna
ki man ki muntazar raste ki takti
chashm-e-pur-nam dhyan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.