chale bhi aao
vo muntazir haiñ kisī kī āñkheñ
vo raat Dhalne ko aa ga.ī hai
vo chāñd maddham sā lag rahā hai
sitāre be-nūr ho rahe haiñ
saverā añgḌā.ī le rahā hai
kisī kī bāheñ pukārtī haiñ
chale bhī aao chale bhī aao
vo taab ham meñ kahāñ hai baaqī
ki furqatoñ ke azaab jheleñ
vo hausle aur vo valvale sab
bikhar rahe haiñ bikhar rahe haiñ
tamām ehsās mar rahe haiñ
ab is se pahle ki maut aa.e
chale bhī aao chale bhī aao
vahī ġhamoñ kā hujūm phir hai
vahī hai mausam judā.iyoñ kā
vahī hai tīra-shabī kā manzar
vahī sisaktī sī aarzū hai
ki phir vo pahlī sī zindagī se
sahārā bāhoñ kā phir se de do
chale bhī aao chale bhī aao
hai ḳhushk pattoñ sī apnī hālat
havā ke rahm-o-karam pe haiñ ham
na ham ko rāhoñ kā kuchh pata hai
na manziloñ kī ḳhabar hai ham ko
kahāñ kahāñ ham liye phireñge
uThā.e is zindagī kā lāsha
chalāo nazroñ se tiir ham par
hameñ ajal kī ġhizā banā do
chale bhī aao chale bhī aao
wo muntazir hain kisi ki aankhen
wo raat Dhalne ko aa gai hai
wo chand maddham sa lag raha hai
sitare be-nur ho rahe hain
sawera angDai le raha hai
kisi ki bahen pukarti hain
chale bhi aao chale bhi aao
wo tab hum mein kahan hai baqi
ki furqaton ke azab jhelen
wo hausle aur wo walwale sab
bikhar rahe hain bikhar rahe hain
tamam ehsas mar rahe hain
ab is se pahle ki maut aae
chale bhi aao chale bhi aao
wahi ghamon ka hujum phir hai
wahi hai mausam judaiyon ka
wahi hai tira-shabi ka manzar
wahi sisakti si aarzu hai
ki phir wo pahli si zindagi se
sahaara bahon ka phir se de do
chale bhi aao chale bhi aao
hai KHushk patton si apni haalat
hawa ke rahm-o-karam pe hain hum
na hum ko rahon ka kuchh pata hai
na manzilon ki KHabar hai hum ko
kahan kahan hum liye phirenge
uThae is zindagi ka lasha
chalao nazron se tir hum par
hamein ajal ki ghiza bana do
chale bhi aao chale bhi aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.