chali dulhan ki palki
jagmag jagmag jhilmil kartī
chalī dulhan kī pālkī
sāras aayā Dolī le kar
langūr apnī Tolī le kar
lomḌī mīThī bolī le kar
chamgādaḌ ik jholī le kar
bīsoñ natthū-ḳhaire aa.e
bārah aire-ġhaire aa.e
hotel se nau baire aa.e
lag-bhag saaTh vaDere aa.e
nāgin lahrātī thī koḌā
ghoḌā le kar aayā joḌā
hudhud baabā laa.e hathauḌā
laayā uuñT baḌā sā phoḌā
aa.e sher dahāḌeñ laa.e
hāthī lambī DāḌheñ laa.e
mor apnī chiñghāḌeñ laa.e
moTe dumbe pāḌheñ laa.e
mainā laa.ī taal makhānā
niil kañTh laa.e nazrāna
chiḌiyāñ aa.iiñ le kar daana
jalte par laayā parvāna
chakvī biibī laa.ī kachaurī
bagulā laayā malmal korī
hariyal laa.e paan gilaurī
laa.e bail shakar kī borī
bhaiñs aa.ī le kar aslī ghī
meñDhe kī sīñgoñ meñ gobhī
tiin kabūtar laa.e chiTThī
chhattā laa.ī shahd kī makkhī
Dolī chuhiyā raanī kī
bachcho dillī aa pahuñchī
jagmag jagmag jhilmil karti
chali dulhan ki palki
saras aaya Doli le kar
langur apni Toli le kar
lomDi miThi boli le kar
chamgadaD ek jholi le kar
bison natthu-KHaire aae
barah aire-ghaire aae
hotel se nau baire aae
lag-bhag saTh waDere aae
nagin lahraati thi koDa
ghoDa le kar aaya joDa
hudhud baba lae hathauDa
laya unT baDa sa phoDa
aae sher dahaDen lae
hathi lambi DaDhen lae
mor apni chinghaDen lae
moTe dumbe paDhen lae
maina lai tal makhana
nil kanTh lae nazrana
chiDiyan aain le kar dana
jalte par laya parwana
chakwi bibi lai kachauri
bagula laya malmal kori
hariyal lae pan gilauri
lae bail shakar ki bori
bhains aai le kar asli ghi
meinDhe ki singon mein gobhi
tin kabutar lae chiTThi
chhatta lai shahd ki makkhi
Doli chuhiya rani ki
bachcho dilli aa pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.