chalna hai tab tak
chalnā hai tab tak
pairoñ kī thakan TuuT kar
chuur na kar de
pairoñ tale rauñd kar
apne hī chhāloñ ko
dhuul na kar de
kaḌī dhuup jhulsā bhī de agar
kaalī dhund bikhrā bhī de agar
ukhaḌtī saañs jab tak
chhoḌ na de saath
āḳhirī aas jab tak
chhoḌ na de haath
chalnā hai tab tak
jab tak bachā hai
jism kī miTTī meñ
ek bhī biij
jo ban saktā hai daraḳht
ek bhī lamha
jo badal saktā hai vaqt
bachī huī ek kiran
jo lā saktī hai ujālā
jamī huī ek buuñd
jo ban saktī hai dhārā
saath yaqīn hai jab tak
chalnā hai tab tak
chalna hai tab tak
pairon ki thakan TuT kar
chur na kar de
pairon tale raund kar
apne hi chhaalon ko
dhul na kar de
kaDi dhup jhulsa bhi de agar
kali dhund bikhra bhi de agar
ukhaDti sans jab tak
chhoD na de sath
aaKHiri aas jab tak
chhoD na de hath
chalna hai tab tak
jab tak bacha hai
jism ki miTTi mein
ek bhi bij
jo ban sakta hai daraKHt
ek bhi lamha
jo badal sakta hai waqt
bachi hui ek kiran
jo la sakti hai ujala
jami hui ek bund
jo ban sakti hai dhaara
sath yaqin hai jab tak
chalna hai tab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.