chalo bazar chalte hain
Interesting Fact
(A poem composed on the backdrop of Street Crimes)
kisī kī jeb se naqadī
kisī ke kaan kī baalī
kisī kī chūḌiyāñ
hāthoñ se
mahñgā koī mobile
jhalak T-T kī dikhlā kar
jo maalā TuuT kar bikhre
to motī biin lete the
ġharīboñ kī bhī kul-pūñjī
abhī kal tak yahāñ ham
chhīn lete the
magar ab log bhī apne bahut hushiyār bante haiñ
shikasta hī sahī
phir bhī hamārī raah kī
dīvār bante haiñ
na kānoñ meñ koī baalī pahantā hai
na hāthoñ meñ
kaḌe sone ke hote haiñ
dulhan ke jo bhī zevar haiñ
vo masnūī
jo mobile haiñ vo naqlī
numā.ish ke sabhī taur-o-tarīqe
khokhle haiñ
kuchh nahīñ aslī
to phir bāzār jā kar kyā kareñ
jebeñ to haiñ ḳhālī
chalo kuchh aisā karte haiñ
kisī ke haath se thailā davāoñ kā
lapak kar chhīn lete haiñ
davā.eñ bhī to mahñgī haiñ
kahīñ par bech dete haiñ
kahīñ par bech dete haiñ
yā phir ghar ko palaTte haiñ
abhī kuchh roz pahle hī
jo ham ne bāliyāñ kānoñ se nochī thiiñ
vo maiñ ne tohfatan baḳhshīñ thiiñ biivī ko
kaḌe sone ke ammāñ ko
to phir kuchh aisā karte haiñ
kaḌe ammāñ se jā kar chhīn laate haiñ
vahī do bāliyāñ sone kī jo baḳhshīñ thiiñ biivī ko
unheñ phir noch laate haiñ
chalo bāzār chalte haiñ
kisi ki jeb se naqadi
kisi ke kan ki baali
kisi ki chuDiyan
hathon se
mahnga koi mobile
jhalak T-T ki dikhla kar
jo mala TuT kar bikhre
to moti bin lete the
gharibon ki bhi kul-punji
abhi kal tak yahan hum
chhin lete the
magar ab log bhi apne bahut hushiyar bante hain
shikasta hi sahi
phir bhi hamari rah ki
diwar bante hain
na kanon mein koi baali pahanta hai
na hathon mein
kaDe sone ke hote hain
dulhan ke jo bhi zewar hain
wo masnui
jo mobile hain wo naqli
numaish ke sabhi taur-o-tariqe
khokhle hain
kuchh nahin asli
to phir bazar ja kar kya karen
jeben to hain KHali
chalo kuchh aisa karte hain
kisi ke hath se thaila dawaon ka
lapak kar chhin lete hain
dawaen bhi to mahngi hain
kahin par bech dete hain
kahin par bech dete hain
ya phir ghar ko palaTte hain
abhi kuchh roz pahle hi
jo hum ne baaliyan kanon se nochi thin
wo main ne tohfatan baKHshin thin biwi ko
kaDe sone ke amman ko
to phir kuchh aisa karte hain
kaDe amman se ja kar chhin late hain
wahi do baaliyan sone ki jo baKHshin thin biwi ko
unhen phir noch late hain
chalo bazar chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.