chalo bhayya tumko banaun main ghoDa
chalo bhayyā tum ko banā.ūñ maiñ ghoḌā
banoge jo ghoḌā to mārūñgī koḌā
na aa.egī lekin zarā choT tum ko
silā dūñgī pyārā sā ik coat tum ko
chaloge shapā-shap to dūñgī maiñ chārā
rukoge to khāoge chāñTā karārā
ye chāñTā na hogā magar maar koī
samajh lo ki jaise kare pyaar koī
tumhāre liye maiñ ne gaaḌī banā.ī
har ik shai qarīne se is meñ lagā.ī
paḌā hai jo kapḌoñ kā sandūq is meñ
Darāne ko rakh lī hai bandūq is meñ
aur ik nannhī chhatrī bhī rakh lī hai maiñ ne
kaḌī dhuup ke ḳhauf se meñh ke Dar se
ki shāyad jhuke abr būñdeñ girāne
to bach jā.ūñ bārish se chhatrī lagā ke
tumheñ kyā zarūrat ki ho tum to ghoḌā
chalo ab juto varna mārūñgī koḌā
jo mānoge kahnā to le dūñgī laTTū
nahīñ to ho tum aaj se mere TaTTū
chalo bhayya tum ko banaun main ghoDa
banoge jo ghoDa to marungi koDa
na aaegi lekin zara choT tum ko
sila dungi pyara sa ek coat tum ko
chaloge shapa-shap to dungi main chaara
rukoge to khaoge chanTa karara
ye chanTa na hoga magar mar koi
samajh lo ki jaise kare pyar koi
tumhaare liye main ne gaDi banai
har ek shai qarine se is mein lagai
paDa hai jo kapDon ka sanduq is mein
Darane ko rakh li hai banduq is mein
aur ek nannhi chhatri bhi rakh li hai main ne
kaDi dhup ke KHauf se meinh ke Dar se
ki shayad jhuke abr bunden girane
to bach jaun barish se chhatri laga ke
tumhein kya zarurat ki ho tum to ghoDa
chalo ab juto warna marungi koDa
jo manoge kahna to le dungi laTTu
nahin to ho tum aaj se mere TaTTu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.