chalo hum man lete hain bichhaDna hi zaruri hai
chalo ham maan lete haiñ bichhaḌnā hī zarūrī hai
chalo ham maan lete haiñ muqaddar meñ hī duurī hai
chalo ham maan lete haiñ tumhārī jo hai majbūrī
chalo ham maan lete haiñ mile ham der se tum se
chalo maanā ki bāñdhe hai rasan hālāt kī tum ko
chalo maanā judā.ī ke sivā chāra nahīñ koī
magar
itnā batā do bas
judā hone se ai hamdam
ta.alluq TuuT jā.egā
hameñ tum bhuul jāoge
mohabbat aur rifāqat ke
vo saare din
vo sab lamhe
tumhāre zehn aur dil se
nikal jā.eñge
mumkin hai
agar mumkin nahīñ hai to
judā hone kā kyā matlab
bichhaḌ jaane kā ġham kaisā
ye naale aur fuġhāñ kyuuñ haiñ
ham itne be-karāñ kyuuñ haiñ
chalo hum man lete hain bichhaDna hi zaruri hai
chalo hum man lete hain muqaddar mein hi duri hai
chalo hum man lete hain tumhaari jo hai majburi
chalo hum man lete hain mile hum der se tum se
chalo mana ki bandhe hai rasan haalat ki tum ko
chalo mana judai ke siwa chaara nahin koi
magar
itna bata do bas
juda hone se ai hamdam
talluq TuT jaega
hamein tum bhul jaoge
mohabbat aur rifaqat ke
wo sare din
wo sab lamhe
tumhaare zehn aur dil se
nikal jaenge
mumkin hai
agar mumkin nahin hai to
juda hone ka kya matlab
bichhaD jaane ka gham kaisa
ye nale aur fughan kyun hain
hum itne be-karan kyun hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.