chalo hum man lete hain
chalo ham maan lete haiñ
na koī raah niklegī ki bāham mil ke baiTheñge
magar kyā dil se dil tak rāsta bhī rok sakte ho
abhī maiñ dil-girafta huuñ
abhī tum āb-dīda ho
sukūñ ke chand lamhoñ meñ zarā ye dhyān meñ rakhnā
ki koī raah meñ āñkheñ bichhā.e
ab bhī tum ko yaad kartā hai
koī ab bhī tumhārī ik sadā par
lauT aane ke liye tayyār baiThā hai
chalo hum man lete hain
na koi rah niklegi ki baham mil ke baiThenge
magar kya dil se dil tak rasta bhi rok sakte ho
abhi main dil-girafta hun
abhi tum aab-dida ho
sukun ke chand lamhon mein zara ye dhyan mein rakhna
ki koi rah mein aankhen bichhae
ab bhi tum ko yaad karta hai
koi ab bhi tumhaari ek sada par
lauT aane ke liye tayyar baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.