chalo hum yaad karte hain
chalo ham yaad karte haiñ suhānī rut ki jis meñ ham kabhī titlī pakaḌte the
kabhī jugnū ko muTThī meñ sharārat se chhupāte the
kabhī rangīn barkhā meñ
kisī bachche kī sūrat naav paanī meñ bahāte the
kabhī ham band jholī meñ hazāroñ sīpiyāñ le kar gharoñdoñ ko sajāte the
magar saffāk maujeñ jab gharauñde ko bahātī thiiñ
bahut dil-gīr hote the bahut nāshād rahte the
hameñ ab yaad karne do
tumhāre haath ko thāme
baḌī lambī masāfat meñ bahut pur-lutf rahte the
kabhī ham chāñdnī rātoñ meñ nange paañv sāhil pe khaḌe ho kar hasīñ lamhe churāte the
tumhāre haath par pahroñ ham apnā naam likhte the
magar ab to
hameñ din bhar
zarā bhī saañs lene kī kahāñ fursat mayassar hai
tumhāre naam ko socheñ
tumhārī yaad ko khojeñ
agar kuchh yaad rakhnā hai bas itnā yaad rakhnā hai
tumhārī yaad ke nīlam samundar-burd karne haiñ
amāvas raat se ham ko bahut hī ḳhauf aatā hai
to ham sāhil se ḳhālī haath vāpas lauT aate haiñ
na ab naav bahāte haiñ na ab sāvan manāte haiñ
suno yaḳh-basta rātoñ meñ
kisī ātish-kade ke paas baiThe ham
hathelī par bahut hī ġhaur se nazreñ jamāte haiñ
to zer-e-lab bahut zaḳhmī adā se muskurāte haiñ
magar ye baat bhī sach hai
ki mere haath kī rekhā pe terā naam hī kab thā
chalo hum yaad karte hain suhani rut ki jis mein hum kabhi titli pakaDte the
kabhi jugnu ko muTThi mein shararat se chhupate the
kabhi rangin barkha mein
kisi bachche ki surat naw pani mein bahate the
kabhi hum band jholi mein hazaron sipiyan le kar gharondon ko sajate the
magar saffak maujen jab gharaunde ko bahati thin
bahut dil-gir hote the bahut nashad rahte the
hamein ab yaad karne do
tumhaare hath ko thame
baDi lambi masafat mein bahut pur-lutf rahte the
kabhi hum chandni raaton mein nange panw sahil pe khaDe ho kar hasin lamhe churaate the
tumhaare hath par pahron hum apna nam likhte the
magar ab to
hamein din bhar
zara bhi sans lene ki kahan fursat mayassar hai
tumhaare nam ko sochen
tumhaari yaad ko khojen
agar kuchh yaad rakhna hai bas itna yaad rakhna hai
tumhaari yaad ke nilam samundar-burd karne hain
amawas raat se hum ko bahut hi KHauf aata hai
to hum sahil se KHali hath wapas lauT aate hain
na ab naw bahate hain na ab sawan manate hain
suno yaKH-basta raaton mein
kisi aatish-kade ke pas baiThe hum
hatheli par bahut hi ghaur se nazren jamate hain
to zer-e-lab bahut zaKHmi ada se muskuraate hain
magar ye baat bhi sach hai
ki mere hath ki rekha pe tera nam hi kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.