chalo ek bar phir dariya kinare
chalo ik baar phir dariyā kināre
jahāñ pahle-pahal ham tum mile the
jahāñ se bebasī jaane lagī thī
jahāñ se zindagī gaane lagī thī
jahāñ se rashk sā aane lagā thā
jahāñ se nashsha sā chhāne lagā thā
jahāñ se rat-jage kī thī numā.ish
jahāñ se diip rāhoñ meñ jale the
chalo ik baar phir dariyā kināre
jahāñ pahle-pahal ham tum mile the
jahāñ se ḳhvāb āñkhoñ meñ jage the
jahāñ se phuul juuḌe meñ saje the
jahāñ se raat dhānī ho rahī thī
jahāñ duniyā kahānī ho rahī thī
jahāñ duniyā kahānī ho rahī thī
jahāñ se aa gayā thā mujh ko jiinā
jahāñ se lafz sheroñ meñ Dhale the
chalo ik baar phir dariyā kināre
jahāñ pahle-pahal ham tum mile the
jahāñ se be-ḳhudī baḌhne lagī thī
jahāñ se pyaas kī shiddat jagī thī
jahāñ se hausla tū ne diyā thā
jahāñ se faisla maiñ ne kiyā thā
jahāñ se zindagī ne lī thī karvaT
jahāñ se phuul rāhoñ meñ khile the
chalo ik baar phir dariyā kināre
jahāñ pahle-pahal ham tum mile the
chalo ek bar phir dariya kinare
jahan pahle-pahal hum tum mile the
jahan se bebasi jaane lagi thi
jahan se zindagi gane lagi thi
jahan se rashk sa aane laga tha
jahan se nashsha sa chhane laga tha
jahan se rat-jage ki thi numaish
jahan se dip rahon mein jale the
chalo ek bar phir dariya kinare
jahan pahle-pahal hum tum mile the
jahan se KHwab aankhon mein jage the
jahan se phul juDe mein saje the
jahan se raat dhani ho rahi thi
jahan duniya kahani ho rahi thi
jahan duniya kahani ho rahi thi
jahan se aa gaya tha mujh ko jina
jahan se lafz sheron mein Dhale the
chalo ek bar phir dariya kinare
jahan pahle-pahal hum tum mile the
jahan se be-KHudi baDhne lagi thi
jahan se pyas ki shiddat jagi thi
jahan se hausla tu ne diya tha
jahan se faisla main ne kiya tha
jahan se zindagi ne li thi karwaT
jahan se phul rahon mein khile the
chalo ek bar phir dariya kinare
jahan pahle-pahal hum tum mile the
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 101)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.