chalo musafir
chalo musāfir, udaas shāmoñ kī rahguzar meñ
sitāre, DhūñDeñ
chhalaktī āñkhoñ meñ zindagī ke jo bach ga.e haiñ vo ḳhvāb DhūñDeñ
bhaTaktī galiyoñ meñ ābloñ ke gulāb dekheñ
pahāḌ sochoñ meñ sabz rañgoñ ke ḳhvāb dekheñ
chalo musāfir
nishān-e-manzil jo ḳhvāb sā hai, jo ārzuoñ kā hādsa hai
usī ke raste meñ kahkashā.eñ bikher deñ ham
baqā ke raste meñ ḳhema-zan haiñ, ḳhatā ke lashkar, fanā ke lashkar
chalo musāfir fanā ke ghar se
baqā kī manzil uThā ke lā.eñge
hikāyatoñ meñ haqīqatoñ kā mizāj bhar deñ
kisī ke ghar meñ
añdhere ghar meñ
charāġh rakh deñ
chhalaktī āñkhoñ meñ ḳhvāb rakh deñ
chalo musafir, udas shamon ki rahguzar mein
sitare, DhunDen
chhalakti aankhon mein zindagi ke jo bach gae hain wo KHwab DhunDen
bhaTakti galiyon mein aablon ke gulab dekhen
pahaD sochon mein sabz rangon ke KHwab dekhen
chalo musafir
nishan-e-manzil jo KHwab sa hai, jo aarzuon ka hadsa hai
usi ke raste mein kahkashaen bikher den hum
baqa ke raste mein KHema-zan hain, KHata ke lashkar, fana ke lashkar
chalo musafir fana ke ghar se
baqa ki manzil uTha ke laenge
hikayaton mein haqiqaton ka mizaj bhar den
kisi ke ghar mein
andhere ghar mein
charagh rakh den
chhalakti aankhon mein KHwab rakh den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.