chalo phir ek naya mazhab banaen
chalo phir ek nayā maz.hab banā.eñ
kuchh aur logoñ ko bāñTe aapas meñ
baḌhā.eñ ranjisheñ un kī
uksā.eñ logoñ ko qatl-e-ām ke liye
kuchh mareñge
kuchh lahūluhān hoñge
chiñgārī jaltī rahegī
pīḌhī-dar-pīḌhī
ek dūsre ko nīchā dikhāne kī
kuchh aur ḳhud-ġharaz kuud paḌeñge
is ranjish ke khel meñ
sekeñge roTiyāñ
mayyat kī chiñgārī par
aag bujh ga.ī to
mazār ke
diye
se phir jalā deñge
jalā kar ghar hamārā
apnā mahal raushan kareñge
biit jā.eñgī ka.ī pīḌhiyāñ
bhuul jā.eñgī kāran aapsī laḌā.ī kā
dharm-gurū phir uTheñge
siikh deñge dharm-rakshā kā
kaheñge laḌ-maro
apne dharm ke liye
lekin
kabhī sevam dharm kī rakshā ke liye laḌne nā ā.eñge
chalo phir ek nayā maz.hab banā.eñ
kuchh aur logoñ ko bāñTeñ aapas meñ
chalo phir ek naya mazhab banaen
kuchh aur logon ko banTe aapas mein
baDhaen ranjishen un ki
uksaen logon ko qatl-e-am ke liye
kuchh marenge
kuchh lahuluhan honge
chingari jalti rahegi
piDhi-dar-piDhi
ek dusre ko nicha dikhane ki
kuchh aur KHud-gharaz kud paDenge
is ranjish ke khel mein
sekenge roTiyan
mayyat ki chingari par
aag bujh gai to
mazar ke
diye
se phir jala denge
jala kar ghar hamara
apna mahal raushan karenge
bit jaengi kai piDhiyan
bhul jaengi karan aapsi laDai ka
dharm-guru phir uThenge
sikh denge dharm-raksha ka
kahenge laD-maro
apne dharm ke liye
lekin
kabhi sewam dharm ki raksha ke liye laDne na aaenge
chalo phir ek naya mazhab banaen
kuchh aur logon ko banTen aapas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.