chalo wapas chalen
tumheñ ḳhvāhish ko chhūne kī tamannā hai
ḳhvāhisheñ to uḌtī-phirtī titliyāñ haiñ
Daak kī nākāra Ticketeñ to nahīñ haiñ
jinheñ album meñ rakh kar tum ye samjho
ki ye nāyāb chīzeñ ab tumhārī dastaras meñ haiñ
tumheñ sapne pakaḌne kī tamannā hai
nahīñ ye ġhair-mumkin hai
ki sapne an-chhue lamhoñ ke nāzuk aks haiñ
ārā.ishī beleñ nahīñ
jo kamre kī kisī dīvār par saj kar
tumhārī diid kā ehsāñ uThā.eñ
tumheñ kohre ke bhīge phuul chunñe kī tamannā hai
ye kohrā to charāġh-e-mausam-e-gul kā dhuāñ hai
koī dīvār-e-berlin par khiñchī tahrīr yā naqsha nahīñ
jise jis vaqt jo chāhe badal de
yā miTā de
sabz-rū kohrā pakaḌnā is qadar āsāñ nahīñ
suno
dīvāngī chhoḌo
chalo vāpas haqīqat meñ chaleñ
tumhein KHwahish ko chhune ki tamanna hai
KHwahishen to uDti-phirti titliyan hain
Dak ki nakara Ticketen to nahin hain
jinhen album mein rakh kar tum ye samjho
ki ye nayab chizen ab tumhaari dastaras mein hain
tumhein sapne pakaDne ki tamanna hai
nahin ye ghair-mumkin hai
ki sapne an-chhue lamhon ke nazuk aks hain
aaraishi belen nahin
jo kamre ki kisi diwar par saj kar
tumhaari did ka ehsan uThaen
tumhein kohre ke bhige phul chunne ki tamanna hai
ye kohra to charagh-e-mausam-e-gul ka dhuan hai
koi diwar-e-berlin par khinchi tahrir ya naqsha nahin
jise jis waqt jo chahe badal de
ya miTa de
sabz-ru kohra pakaDna is qadar aasan nahin
suno
diwangi chhoDo
chalo wapas haqiqat mein chalen
- Book : Pakistani Adab (Pg. 134)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.