chalti phirti diwaren
kaun hai vo
kuchh nahīñ jānte
dekh sakte nahīñ
duniyā kī dīvāroñ meñ
chune hue patthar
kaun mere ḳhvāboñ meñ
āsmānoñ se utartā hai
jādū-zada logoñ ko
dīvāroñ se nikāl kar
zinda diloñ kī bastiyāñ ābād karnā chāhtā hai
magar ye log kaise haiñ
ba-zid haiñ
diloñ tak jaate raste band rakhne par
āñkhoñ zabānoñ aur dimāġhoñ ko
dīvāroñ meñ qaid rakhne par musir haiñ
meñ hairān huuñ
ki dīvāreñ bhī chaltī haiñ
kuchaltī jaatī haiñ
ra.ūnat se
sabhī ma.asūm jazboñ ko
kitāboñ se umaDtī raushnī ko
diloñ meñ nafrateñ bhar kar
uThā kar sar ye chalte haiñ
ra.ūnat se
sajā kar apne māthe par
nishāñ sajdoñ ke
sab se faḳhriya kahte haiñ
ham hī muttaqī haiñ aur zāhid haiñ
magar un kī qanā.at girya-zārī zohd-o-taqvā
dikhāvā hai banāvaT aur sajāvaT hai
ye jis ke naam par dhoke bāñTte phirte haiñ
masjidoñ aur bāzāroñ meñ
use sajdoñ se kyā matlab
use to dil basāne haiñ
aur is jādū-zada bastī ko jannat meñ badalnā hai
kaun hai wo
kuchh nahin jaante
dekh sakte nahin
duniya ki diwaron mein
chune hue patthar
kaun mere KHwabon mein
aasmanon se utarta hai
jadu-zada logon ko
diwaron se nikal kar
zinda dilon ki bastiyan aabaad karna chahta hai
magar ye log kaise hain
ba-zid hain
dilon tak jate raste band rakhne par
aankhon zabanon aur dimaghon ko
diwaron mein qaid rakhne par musir hain
mein hairan hun
ki diwaren bhi chalti hain
kuchalti jati hain
raunat se
sabhi masum jazbon ko
kitabon se umaDti raushni ko
dilon mein nafraten bhar kar
uTha kar sar ye chalte hain
raunat se
saja kar apne mathe par
nishan sajdon ke
sab se faKHriya kahte hain
hum hi muttaqi hain aur zahid hain
magar un ki qanaat girya-zari zohd-o-taqwa
dikhawa hai banawaT aur sajawaT hai
ye jis ke nam par dhoke banTte phirte hain
masjidon aur bazaron mein
use sajdon se kya matlab
use to dil basane hain
aur is jadu-zada basti ko jannat mein badalna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.