chaman
ye ḳhush-rañg phūloñ kī kyārī miyāñ
ye dekho ki hai kitnī pyārī miyāñ
koī laal hai in meñ piilā koī
gulābī hai uudā hai niilā koī
kisī phuul meñ haiñ kuchh aise bhī rañg
jinheñ dekh kar ho musavvir bhī dañg
hoñ juuhī chamelī ki champā gulāb
ye taare ye sūraj ye chāñd āsmāñ
ye parbat samundar zamīñ gulistāñ
ḳhudā apne bandoñ pe hai mehrbāñ
usī ne banāyā hai saarā jahāñ
ye KHush-rang phulon ki kyari miyan
ye dekho ki hai kitni pyari miyan
koi lal hai in mein pila koi
gulabi hai uda hai nila koi
kisi phul mein hain kuchh aise bhi rang
jinhen dekh kar ho musawwir bhi dang
hon juhi chameli ki champa gulab
ye tare ye suraj ye chand aasman
ye parbat samundar zamin gulistan
KHuda apne bandon pe hai mehrban
usi ne banaya hai sara jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.