ḳhalāoñ meñ tairte jazīroñ pe champa.ī dhuup
dekh kaise baras rahī hai!
mahīn kohrā simaT rahā hai
hatheliyoñ meñ abhī talak
tere narm chehre kā lams aise chhalak rahā hai
ki jaise sub.h ko ok meñ bhar liyā ho maiñ ne
bas ek maddham sī raushnī
mere hāthoñ pairoñ meñ bah rahī hai
tire laboñ pe zabān rakh kar
maiñ nuur kā vo hasīn qatra bhī pī gayā huuñ
jo terī ujlī dhulī huī ruuh se phisal kar tire laboñ par
Thahar gayā thā
KHalaon mein tairte jaziron pe champai dhup
dekh kaise baras rahi hai!
mahin kohra simaT raha hai
hatheliyon mein abhi talak
tere narm chehre ka lams aise chhalak raha hai
ki jaise subh ko ok mein bhar liya ho main ne
bas ek maddham si raushni
mere hathon pairon mein bah rahi hai
tere labon pe zaban rakh kar
main nur ka wo hasin qatra bhi pi gaya hun
jo teri ujli dhuli hui ruh se phisal kar tere labon par
Thahar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.