Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chanab nadi ka qasida

Masood Munavvar

chanab nadi ka qasida

Masood Munavvar

MORE BYMasood Munavvar

    Interesting Fact

    (Monthly: Qand, Mardaan, July, 1973)

    sar-shor chanāb autār mire

    mire mohan sāgar sayyāre

    tirī ghokar jīvan sargam

    tirī lahar lahar barham barham

    jab utrūñ khol ke pairāhan

    tire paanī gale mileñ mujh se

    tirī ThanDak siine sāvan ke

    tirī mahak mohabbat barkhā

    tire jal-thal jal-thal manzar se

    mirī rānoñ meñ gudgudī ho

    mire talvoñ meñ do phuul khileñ

    mire sohan sāgar sayyāre

    mire pāgal vahshī banjāre

    aahū sabz zamīnoñ

    zā.er-e-pāk madīnoñ

    shāhid mauj ke meloñ

    shoḳh musāfir beloñ

    tirī chaal meñ mastī moroñ

    tirī dahshat uthre Dhoroñ

    mire pāgal vahshī banjāre

    mire mohan sāgar sayyāre

    khulī kitāb ajā.ib

    tirā varaq varaq tūfān lage

    tirī kathā meñ ramzīñ shahd bharī

    nafas nafas insān lage

    maiñ zard kināre patthar

    mirā badan babūloñ Daalī

    mujhe amrit de mujhe zahr pilā

    mirā jism hai andar se ḳhālī

    mire mohan sāgar sayyāre

    sabz kachor pahāḌī ke

    barbād shivāloñ vāris

    bichhḌī huī kūñjoñ maskan

    bhaTke hue bagloñ dariyā

    mirā mohan sāgar sayyārā

    mirā pāgal vahshī banjārā

    sar-shor chanāb autār hai

    aur yaar ajab shahkār hai

    sar-shor chanab autar mere

    mere mohan sagar sayyare

    teri ghokar jiwan ka sargam

    teri lahar lahar barham barham

    jab utrun khol ke pairahan

    tere pani gale milen mujh se

    teri ThanDak sine sawan ke

    teri mahak mohabbat ki barkha

    tere jal-thal jal-thal manzar se

    meri ranon mein gudgudi si ho

    mere talwon mein do phul khilen

    mere sohan sagar sayyare

    mere pagal wahshi banjare

    tu aahu sabz zaminon ka

    tu zaer-e-pak madinon ka

    tu shahid mauj ke melon ka

    tu shoKH musafir belon ka

    teri chaal mein masti moron si

    teri dahshat uthre Dhoron si

    mere pagal wahshi banjare

    mere mohan sagar sayyare

    tu khuli kitab ajaib ki

    tera waraq waraq tufan lage

    teri katha mein ramzin shahd bhari

    tu nafas nafas insan lage

    main zard kinare ka patthar

    mera badan babulon ki Dali

    mujhe amrit de mujhe zahr pila

    mera jism hai andar se KHali

    mere mohan sagar sayyare

    tu sabz kachor pahaDi ke

    barbaad shiwalon ka waris

    bichhDi hui kunjon ka maskan

    bhaTke hue baglon ka dariya

    mera mohan sagar sayyara

    mera pagal wahshi banjara

    sar-shor chanab autar hai tu

    aur yar ajab shahkar hai tu

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now