chanab tujhko yaad hai
ki tere sāhiloñ kī narm ret par
huī thiiñ mehrbāñ vo uñgliyāñ
unhī kī ek por ne jo raqs ishq meñ kiyā
ik ism phir amar huā
chanāb terī ret par
vo ism ab kahīñ nahīñ
batā vo haath kyā hue
vo naqsh sab havā hue
vo ḳhvāb sab dhuāñ hue
nahīñ nahīñ ye jhuuT hai
ye ḳhvāb hai ajiib sā
abhī bhī kuchh nahīñ gayā
maiñ chāhtī huuñ aañkh jab khule to narm ret par mirā hī ek naam ho
ki tere sahilon ki narm ret par
hui thin mehrban wo ungliyan
unhi ki ek por ne jo raqs ishq mein kiya
ek ism phir amar hua
chanab teri ret par
wo ism ab kahin nahin
bata wo hath kya hue
wo naqsh sab hawa hue
wo KHwab sab dhuan hue
nahin nahin ye jhuT hai
ye KHwab hai ajib sa
abhi bhi kuchh nahin gaya
main chahti hun aankh jab khule to narm ret par mera hi ek nam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.