chand lamhe
chand lamhe jinheñ ik laġhzish-e-pā ne merī
kahīñ maazī ke añdheroñ meñ kuchal Daalā thā
choT khaa.ī huī nāgin kī tarah lahrā kar
mere ehsās ke har goshe pe chhā jaate haiñ
merī āñkhoñ se mai-e-ḳhvāb uḌā jaate haiñ
raat bhar ke liye dīvāna banā jaate haiñ
ḳhuun ho jaatā hai jab sozish-e-pinhāñ se bhaḌaktā huā dil
tairne lagtā hai rag rag meñ lahū ho ke dhaḌaktā huā dil
kapkapāte hue hoñT
thartharātī huī nabz
TimTimāte hue āñkhoñ ke diye
god meñ sail-e-farāvāñ ko liye
aisī hālat meñ koī kaise jiye kaise jiye?
chand lamhe jinhen ek laghzish-e-pa ne meri
kahin mazi ke andheron mein kuchal Dala tha
choT khai hui nagin ki tarah lahra kar
mere ehsas ke har goshe pe chha jate hain
meri aankhon se mai-e-KHwab uDa jate hain
raat bhar ke liye diwana bana jate hain
KHun ho jata hai jab sozish-e-pinhan se bhaDakta hua dil
tairne lagta hai rag rag mein lahu ho ke dhaDakta hua dil
kapkapate hue honT
thartharaati hui nabz
TimTimate hue aankhon ke diye
god mein sail-e-farawan ko liye
aisi haalat mein koi kaise jiye kaise jiye?
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.