chand sawal
in 'aql ke bandoñ meñ āshufta-sarī kyoñ hai
ye tang-dilī kyoñ hai ye kam-nazarī kyoñ hai
asrār agar samjhe duniyā kī har ik shai ke
ḳhud apnī haqīqat se ye be-ḳhabarī kyoñ hai
sau jalve haiñ nazroñ se mānind-e-nazar pinhāñ
dā'vā-e-jahāñ-bīnī ai dīda-varī kyoñ hai
hal jin kā 'amal se hai paikār-o-jadal se hai
un zinda masā.il par baha-e-nazarī kyoñ hai
jo ḳhud kisī pahlū se kaasa hai gadā.ī kā
aise dar-e-daulat par daryūza-garī kyoñ hai
tū dekh tire dil meñ hai soz-e-talab kitnā
mat pūchh du'āoñ meñ ye be-asarī kyoñ hai
kyā nazr-e-qafas kar dī parvāz kī tāqat bhī
hāsil hai jab āzādī be-bāl-o-parī kyoñ hai
ai gul jo bahār aa.ī hai vaqt-e-ḳhud-ārā.ī
ye rang-e-junūñ kaisā ye jāma-darī kyoñ hai
vā'iz ko jo 'ādat hai pechīda-bayānī kī
hairāñ hai ki rindoñ kī har baat kharī kyoñ hai
hai kaun jo ye pūchhe us husn-e-ḳhud-ārā se
hai jab ki gurez itnā phir jalva-garī kyoñ hai
miltā hai ise paanī ashkoñ kī ravānī se
mā'lūm huā khetī zaḳhmoñ kī harī kyoñ hai
ulfat ko 'asad' kitnā āsān samajhtā thā
ab nāla-e-shab kyoñ hai āh-e-saharī kyoñ hai
in 'aql ke bandon mein aashufta-sari kyon hai
ye tang-dili kyon hai ye kam-nazari kyon hai
asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke
KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyon hai
sau jalwe hain nazron se manind-e-nazar pinhan
da'wa-e-jahan-bini ai dida-wari kyon hai
hal jin ka 'amal se hai paikar-o-jadal se hai
un zinda masail par baha-e-nazari kyon hai
jo KHud kisi pahlu se kasa hai gadai ka
aise dar-e-daulat par daryuza-gari kyon hai
tu dekh tere dil mein hai soz-e-talab kitna
mat puchh du'aon mein ye be-asari kyon hai
kya nazr-e-qafas kar di parwaz ki taqat bhi
hasil hai jab aazadi be-baal-o-pari kyon hai
ai gul jo bahaar aai hai waqt-e-KHud-arai
ye rang-e-junun kaisa ye jama-dari kyon hai
wa'iz ko jo 'adat hai pechida-bayani ki
hairan hai ki rindon ki har baat khari kyon hai
hai kaun jo ye puchhe us husn-e-KHud-ara se
hai jab ki gurez itna phir jalwa-gari kyon hai
milta hai ise pani ashkon ki rawani se
ma'lum hua kheti zaKHmon ki hari kyon hai
ulfat ko 'asad' kitna aasan samajhta tha
ab nala-e-shab kyon hai aah-e-sahari kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.