chand sawalat
maiñ ne chand savālāt gaThrī meñ bāñdhe aur
ḳhudā ko DhūñDne nikal paḌā
saaya ek vafādār sipāhī kī tarah
mere saath chal rahā thā
maiñ ne dekhā ki āsmān bārish se
nā-zebā bāteñ kartā hai
jis vajah se zamīn ab paanī kī
jagah ḳhuun chūstī hai
maiñ ne dekhā us naujavān ko jis ne
ḳhushiyāñ bech kar bulūġhat ḳharīdī aur
agle hī lamhe use qatl kar diyā gayā
maiñ ne dekhā ke log bhuul baiThe
ki ḳhudā to koī nahīñ
apne taḳhayyul se ek ḳhudā taḳhlīq kiyā
phir ḳhud se na.e qānūn banā.e
aur barahna soch se mukammal maz.habī zindagī jiine lage
maiñ ne dekhā ki log marne se pahle
dūsroñ kī zamīnoñ par apnī
qabreñ tayyār karvāne lage
taaki marne ke baad vahāñ qabza kiyā jā sake
maiñ ne dekhā un qabroñ meñ
zinda laḌkiyoñ ne panāh le lī
jin ke jismoñ ko bheḌiyoñ ne noch Daalā
jin kī chhātiyoñ se duudh kī jagah ḳhuun Tapkā
maiñ ne dekhā ke duniyā meñ
jahannum banā.ī ga.ī
aur us ke iftitāh ke liye taḳhayyul
vaale ḳhudā ko dāvat huī
maiñ ne dekhā logoñ ne barahna zehnoñ se
barahna ḳhvāb dekhe
phir un kī takmīl ke liye har koshisheñ kī
aur sochā kī ḳhudā ek soch ke
alāva kuchh nahīñ
merī gaThrī savāloñ se bhar kar zamīn par gir ga.ī
maiñ chīḳhā magar merī āvāz
mujh meñ qaid thī
maiñ ye sab dekh kar rail kī
paTrī par leT gayā
magar achānak ek ḳhaufnāk āvāz ne
mujhe pāgal kar diyā
vaqt ruk gayā sūraj kā rang surḳh paḌ gayā
pahāḌoñ ne zamīn se tang aa kar
āsmān kī taraf uḌnā shurūa kar diyā
samundaroñ ne shahroñ kā ruḳh kar liyā
maiñ ne ye manzar dekh kar āñkheñ band kar liiñ
main ne chand sawalat gaThri mein bandhe aur
KHuda ko DhunDne nikal paDa
saya ek wafadar sipahi ki tarah
mere sath chal raha tha
main ne dekha ki aasman barish se
na-zeba baaten karta hai
jis wajah se zamin ab pani ki
jagah KHun chusti hai
main ne dekha us naujawan ko jis ne
KHushiyan bech kar bulughat KHaridi aur
agle hi lamhe use qatl kar diya gaya
main ne dekha ke log bhul baiThe
ki KHuda to koi nahin
apne taKHayyul se ek KHuda taKHliq kiya
phir KHud se nae qanun banae
aur barahna soch se mukammal mazhabi zindagi jine lage
main ne dekha ki log marne se pahle
dusron ki zaminon par apni
qabren tayyar karwane lage
taki marne ke baad wahan qabza kiya ja sake
main ne dekha un qabron mein
zinda laDkiyon ne panah le li
jin ke jismon ko bheDiyon ne noch Dala
jin ki chhatiyon se dudh ki jagah KHun Tapka
main ne dekha ke duniya mein
jahannum banai gai
aur us ke iftitah ke liye taKHayyul
wale KHuda ko dawat hui
main ne dekha logon ne barahna zehnon se
barahna KHwab dekhe
phir un ki takmil ke liye har koshishen ki
aur socha ki KHuda ek soch ke
alawa kuchh nahin
meri gaThri sawalon se bhar kar zamin par gir gai
main chiKHa magar meri aawaz
mujh mein qaid thi
main ye sab dekh kar rail ki
paTri par leT gaya
magar achanak ek KHaufnak aawaz ne
mujhe pagal kar diya
waqt ruk gaya suraj ka rang surKH paD gaya
pahaDon ne zamin se tang aa kar
aasman ki taraf uDna shurua kar diya
samundaron ne shahron ka ruKH kar liya
main ne ye manzar dekh kar aankhen band kar lin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.