chanda-mama
chandā-māmā tum ko maamā
nahīñ kahūñgā nahīñ kahūñgā
māñge kā ujyālā tum meñ
bin māñge sab kaalā tum meñ
banjar dhartī banjar khetī
mausam kab hariyālā tum meñ
maiñ achchhī dhartī kā mālik chandā-māmā
tum ko maamā nahīñ kahūñgā nahīñ kahūñgā
bādal se ghabrāte ho tum
Dar Dar kar chhup jaate ho tum
tum se kyā ummīdeñ rakhnā
kab jaao kab aate ho tum
maiñ huuñ ek bahādur bachcha chandā-māmā
tum ko maamā nahīñ kahūñgā nahīñ kahūñgā
charḳhe vaalī buḌhiyā naanī
charḳhe le kar kahāñ ga.ī hai
aaj tumhārī shaan purānī
sab jhūTī thī nahīñ rahī hai
kyuuñ tum jhūTī shaan dikhāte chandā-māmā
tum ko maamā nahīñ kahūñgā nahīñ kahūñgā
chanda-mama tum ko mama
nahin kahunga nahin kahunga
mange ka ujyala tum mein
bin mange sab kala tum mein
banjar dharti banjar kheti
mausam kab hariyala tum mein
main achchhi dharti ka malik chanda-mama
tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga
baadal se ghabraate ho tum
Dar Dar kar chhup jate ho tum
tum se kya ummiden rakhna
kab jao kab aate ho tum
main hun ek bahadur bachcha chanda-mama
tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga
charKHe wali buDhiya nani
charKHe le kar kahan gai hai
aaj tumhaari shan purani
sab jhuTi thi nahin rahi hai
kyun tum jhuTi shan dikhate chanda-mama
tum ko mama nahin kahunga nahin kahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.