charagh-e-lamha
ye zindagī bhī ḳhudā kī ajiib ne.amat hai
jo saañs aatī hai sab se baḌī vo daulat hai
hayāt ik na.ī āvāz bhī hai raaz bhī hai
sahar ke giit ba-tadrīj gaa.e jaate haiñ
zabān miltī hai iz.hār-e-ārzū ke liye
mohabbatoñ ke tarāne sunā.e jaate haiñ
isī hayāt isī kār-gāh-e-hastī meñ
guzarte rahte haiñ ham sab musāfiroñ kī tarah
tasavvurāt-o-ḳhayālāt saath saath liye
barahna-pā.ī kī lazzat meñ jogiyoñ kī tarah
zamīñ kī ḳhaak haiñ ham ḳhāksār rahte haiñ
ye terā merā ye apne parā.e kuchh bhī nahīñ
ye zindagī to faqat mohlat-e-mohabbat hai
azal azal hai azal ke sivā.e kuchh bhī nahīñ
isī liye mire hamdard mere muḳhlis dost
charāġh-e-lamha ġhanīmat hai is ko jalne de
ise munāfa kā saudā samajh ke tū na parakh
jo lau ubhartī hai dil meñ use ubharne de
yahī vo lau he jo raushan dimāġh kartī hai
isī charāġh ko nūr-e-hayāt kahte haiñ
ḳhudā se bande ke rishte ko joḌtā hai ye nuur
ye rabt vo hai jise kā.enāt kahte haiñ
ye kā.enāt tasalsul sahar kā shaam kā hai
haqīqatoñ kā musalsal safar hai harakat meñ
safar kā manzil-e-āḳhir abad se jā milnā
khulā ye raaz ki ham haiñ kisī kī qudrat meñ
use talāsh kareñ aur usī ke ho jaa.eñ
ghanerī chhāñv jahāñ ho vahīñ pe kho jaa.eñ
ye zindagi bhi KHuda ki ajib neamat hai
jo sans aati hai sab se baDi wo daulat hai
hayat ek nai aawaz bhi hai raaz bhi hai
sahar ke git ba-tadrij gae jate hain
zaban milti hai izhaar-e-arzu ke liye
mohabbaton ke tarane sunae jate hain
isi hayat isi kar-gah-e-hasti mein
guzarte rahte hain hum sab musafiron ki tarah
tasawwuraat-o-KHayalat sath sath liye
barahna-pai ki lazzat mein jogiyon ki tarah
zamin ki KHak hain hum KHaksar rahte hain
ye tera mera ye apne parae kuchh bhi nahin
ye zindagi to faqat mohlat-e-mohabbat hai
azal azal hai azal ke siwae kuchh bhi nahin
isi liye mere hamdard mere muKHlis dost
charagh-e-lamha ghanimat hai is ko jalne de
ise munafa ka sauda samajh ke tu na parakh
jo lau ubharti hai dil mein use ubharne de
yahi wo lau he jo raushan dimagh karti hai
isi charagh ko nur-e-hayat kahte hain
KHuda se bande ke rishte ko joDta hai ye nur
ye rabt wo hai jise kaenat kahte hain
ye kaenat tasalsul sahar ka sham ka hai
haqiqaton ka musalsal safar hai harakat mein
safar ka manzil-e-aKHir abad se ja milna
khula ye raaz ki hum hain kisi ki qudrat mein
use talash karen aur usi ke ho jaen
ghaneri chhanw jahan ho wahin pe kho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.