charagh-e-tamanna
havāoñ kī zad par
agarche hamārā
safar dard kā hai
rukegā na lekin
hamārā safar ye
hazāroñ masā.ib bhī aa.eñ to aa.eñ
na chhoḌeñge ham dāman-e-sabr lekin
hamārā safar phir bhī jaarī rahegā
ye manzil kī jānib
havāoñ se kah do
maqāsid haiñ aalī
azā.em bhī a.alā
hamāre diloñ meñ
hai iḳhlās-e-niyyat bhī
jaise farozāñ
nahīñ bujhne deñge
kabhī rāste meñ
charāġh-e-tamannā
hawaon ki zad par
agarche hamara
safar dard ka hai
rukega na lekin
hamara safar ye
hazaron masaib bhi aaen to aaen
na chhoDenge hum daman-e-sabr lekin
hamara safar phir bhi jari rahega
ye manzil ki jaanib
hawaon se kah do
maqasid hain aali
azaem bhi aala
hamare dilon mein
hai iKHlas-e-niyyat bhi
jaise farozan
nahin bujhne denge
kabhi raste mein
charagh-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.