charas
gaav takiye TeḌhe se
Thiik piiTh ke nīche se sarakte jaate haiñ
zehn meñ jo sochoñ kā izhdihām hotā hai
un kā shor yak dam se
zehn ke ḳhalāoñ meñ
Duub Duub jaatā hai
ās-pās kī duniyā
kis qadar hasīñ hai phir
jo sukūñ hai dil ke andar
us kā husn lā-sānī
lo ye āḳhirī kash hai
gaw takiye TeDhe se
Thik piTh ke niche se sarakte jate hain
zehn mein jo sochon ka izhdiham hota hai
un ka shor yak dam se
zehn ke KHalaon mein
Dub Dub jata hai
aas-pas ki duniya
kis qadar hasin hai phir
jo sukun hai dil ke andar
us ka husn la-sani
lo ye aaKHiri kash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.