charwahe ka jawab
aag barābar pheñk rahā thā sūraj dhartī vāloñ par
taptī zamīñ par lū ke bagūle ḳhaak uḌāte phirte the
nahr kināre ujḌe ujḌe peḌ khaḌe the kīkar ke
jin par dhuup hañsā kartī hai vaise un ke saa.e the
ik charvāhā bheḌeñ le kar jin ke nīche baiThā thā
sar par mailā saafā thā aur kulhāḌī thī hāthoñ meñ
chalte chalte charvāhe se maiñ ne itnā pūchh liyā
ai bheḌoñ ke rakhvāle kyā log yahāñ ke daanā haiñ
kyā ye sach hai yaañ kā hākim nek bahut aur aadil hai
sar ko jhukā kar dhundlī āñkhoñ vaalā dhīme se bolā
bādal kam kam aate haiñ aur bārish kab se rūThī hai
nahreñ band paḌī haiñ jab se saarī dhartī sūkhī hai
kuchh sāloñ se kīkar par bhī phalliyāñ kam hī lagtī haiñ
merī bheḌeñ pyāsī bhī haiñ merī bheḌeñ bhūkī haiñ
aag barabar phenk raha tha suraj dharti walon par
tapti zamin par lu ke bagule KHak uDate phirte the
nahr kinare ujDe ujDe peD khaDe the kikar ke
jin par dhup hansa karti hai waise un ke sae the
ek charwaha bheDen le kar jin ke niche baiTha tha
sar par maila safa tha aur kulhaDi thi hathon mein
chalte chalte charwahe se main ne itna puchh liya
ai bheDon ke rakhwale kya log yahan ke dana hain
kya ye sach hai yan ka hakim nek bahut aur aadil hai
sar ko jhuka kar dhundli aankhon wala dhime se bola
baadal kam kam aate hain aur barish kab se ruThi hai
nahren band paDi hain jab se sari dharti sukhi hai
kuchh salon se kikar par bhi phalliyan kam hi lagti hain
meri bheDen pyasi bhi hain meri bheDen bhuki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.