chashm-e-be-KHwab ko saman bahut
chashm-e-be-ḳhvāb ko sāmān bahut!
rāt-bhar shahr kī galiyoñ meñ havā
haath meñ sañg liye
ḳhauf se zard makānoñ ke dhaḌakte dil par
dastakeñ detī chalī jaatī hai
raushnī band kivāḌoñ se nikalte hue ghabrātī hai
har taraf chīḳh sī chakrātī hai
haiñ mire dil ke liye dard ke unvān bahut
dard kā naam samā.at ke liye rāhat-e-jāñ
dast-e-be-māya ko zar
nutq-e-ḳhāmosh ko lafz
ḳhvāb-e-be-dar ko makāñ
dard kā naam mire shahr-e-ḳhvāhish kā nishāñ
manzil-e-reg-e-ravāñ
dard kī raah pe taskīn ke imkān bahut!
hijr kā dard kaThin hai phir bhī
vo bhī us roz bichhaḌ kar mujh se
ḳhush to na thī
us ne ye manzil-e-ġham
kis tarah kaaTī hogī
vo bhī to merī tarah hogī pareshān bahut
(dard kī raah meñ taskīn ke sāmān bahut)
kyā ḳhabar us kī samā.at ke liye
dard kā naam bhalā ho ki na ho
shahr-e-ḳhvāhish kā nishāñ
nutq-e-ḳhāmosh kā iz.hār huā ho ki na ho
dast-e-be-māya kā zar (vo tahī-dast na thii)
hijr kā dard banā ho ki na ho
us kī galiyoñ meñ ravāñ dastakeñ detī huī surḳh havā ho ki na ho
ishq-e-nau-ḳhez ke armān bahut
shauq-e-gul-rañg ke raste meñ bayābān bahut
soḳhta-jān bahut
chashm-e-be-ḳhvāb ko sāmān bahut
chashm-e-be-KHwab ko saman bahut!
raat-bhar shahr ki galiyon mein hawa
hath mein sang liye
KHauf se zard makanon ke dhaDakte dil par
dastaken deti chali jati hai
raushni band kiwaDon se nikalte hue ghabraati hai
har taraf chiKH si chakraati hai
hain mere dil ke liye dard ke unwan bahut
dard ka nam samaat ke liye rahat-e-jaan
dast-e-be-maya ko zar
nutq-e-KHamosh ko lafz
KHwab-e-be-dar ko makan
dard ka nam mere shahr-e-KHwahish ka nishan
manzil-e-reg-e-rawan
dard ki rah pe taskin ke imkan bahut!
hijr ka dard kaThin hai phir bhi
wo bhi us roz bichhaD kar mujh se
KHush to na thi
us ne ye manzil-e-gham
kis tarah kaTi hogi
wo bhi to meri tarah hogi pareshan bahut
(dard ki rah mein taskin ke saman bahut)
kya KHabar us ki samaat ke liye
dard ka nam bhala ho ki na ho
shahr-e-KHwahish ka nishan
nutq-e-KHamosh ka izhaar hua ho ki na ho
dast-e-be-maya ka zar (wo tahi-dast na thi)
hijr ka dard bana ho ki na ho
us ki galiyon mein rawan dastaken deti hui surKH hawa ho ki na ho
ishq-e-nau-KHez ke arman bahut
shauq-e-gul-rang ke raste mein bayaban bahut
soKHta-jaan bahut
chashm-e-be-KHwab ko saman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.