chashm-e-tamanna
chashm-e-tamannā
jise niiñd aa.ī thī sadiyoñ kī bīmāriyoñ kī thakan se
jaag uTThī hai shāyad
badan meñ nayā din shagūfe kī mānind ubhrā
shafaq-zār ban kar
dil kī āġhosh meñ aa basā hai
nazāre meñ mas.hūr rahne kī ḳhvāhish janam le rahī hai
basā kar use apnī nazroñ meñ
shādāb āñkhoñ meñ rahne ko jī chāhtā hai
vahī rañg-o-bū kī harārat kī halkī lakīreñ
tamāzat ke jhoñke badan chhū rahe haiñ
bahār aa ga.ī yaad kī vādiyoñ meñ
safar ke irādoñ se māyūs kashtī
kināre pe yuuñ aa lagī hai
ki Thahrī huī jhiil kī raushnī meñ nayā ghar basā hai
ye chashm-e-tamannā kī kashtī banī hai nayā āshiyāna
nīlgūñ raushnī tairtī hai
magar ye khaḌī hai
zamāne mohabbat ke phir lauT aa.e haiñ shāyad
vaqt ke Thahar jaane kī shāyad ghaḌī hai
qayāmat kaḌī hai
chashm-e-tamanna
jise nind aai thi sadiyon ki bimariyon ki thakan se
jag uTThi hai shayad
badan mein naya din shagufe ki manind ubhra
shafaq-zar ban kar
dil ki aaghosh mein aa basa hai
nazare mein mashur rahne ki KHwahish janam le rahi hai
basa kar use apni nazron mein
shadab aankhon mein rahne ko ji chahta hai
wahi rang-o-bu ki hararat ki halki lakiren
tamazat ke jhonke badan chhu rahe hain
bahaar aa gai yaad ki wadiyon mein
safar ke iradon se mayus kashti
kinare pe yun aa lagi hai
ki Thahri hui jhil ki raushni mein naya ghar basa hai
ye chashm-e-tamanna ki kashti bani hai naya aashiyana
nilgun raushni tairti hai
magar ye khaDi hai
zamane mohabbat ke phir lauT aae hain shayad
waqt ke Thahar jaane ki shayad ghaDi hai
qayamat kaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.