chashm-e-tar
ghaTā chhā.ī hai sāvan kī jhaḌī hai
dil-e-maġhmūm kī khetī harī hai
chhalak uTThā hai paimāna nazar kā
buḳhār-e-dil kī āshufta-sarī hai
ruḳh-e-mahtāb par tāroñ ke haale
ye taare haiñ ki motī kī laḌī hai
ujāle ke liye sham-e-farozāñ
añdhere meñ sar-e-mizhgāñ dharī hai
gul-e-nargis pe haiñ shabnam ke qatre
ki siipī hai jo motī se bharī hai
umañD aayā hai dariyā jazb-e-dil kā
bhañvar meñ sabr kī kashtī paḌī hai
'jamīl' ash.ār meñ gauhar-fishānī
ye chashm-e-tar kī sab jādū-garī hai
ghaTa chhai hai sawan ki jhaDi hai
dil-e-maghmum ki kheti hari hai
chhalak uTTha hai paimana nazar ka
buKHar-e-dil ki aashufta-sari hai
ruKH-e-mahtab par taron ke haale
ye tare hain ki moti ki laDi hai
ujale ke liye sham-e-farozan
andhere mein sar-e-mizhgan dhari hai
gul-e-nargis pe hain shabnam ke qatre
ki sipi hai jo moti se bhari hai
umanD aaya hai dariya jazb-e-dil ka
bhanwar mein sabr ki kashti paDi hai
'jamil' ashaar mein gauhar-fishani
ye chashm-e-tar ki sab jadu-gari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.