chauda minute
titlī ke paroñ se rang churāne
bahte paanī par tasvīreñ banāne
patthar kī kokh se mujassame tarāshne
gumān se ūñchī dīvāreñ uThāne
aur shā.irī meñ ġharq ho jaane se
tum aziim taḳhlīq-kār kahlāte ho
zarā dekho
aziim musavvir picasso
tasvīroñ meñ rang aise bhartā jaise ruuh phūñk rahā ho
bichāra nā-āsūdgī kā maarā
tasvīreñ zinda karne kī hasrat us ke andar hī mar ga.ī
mardāngī kī azmat kā aziim label
us ke ehsās-e-kamtarī ko baḌhātā rahā
ek baar ke nau maah
hazār baar ke chaudah minute par bhārī hote haiñ
tum chain smoking kar ke bhī
chain ismokar nahīñ ban sakte
taḳhlīqiyat kā junūn tumheñ chaaT rahā hai
tum ḳhālī ho kar bhī ḳhālī nahīñ hote
isī liye
karb-e-musalsal meñ mubtalā ho
ḳhud ko kañgāl karne ke bāvajūd
tum
tīsre darje ke taḳhlīq-kār hī rahoge
bhalā tum
maut se zindagī taḳhlīq kar sakte ho
titli ke paron se rang churane
bahte pani par taswiren banane
patthar ki kokh se mujassame tarashne
guman se unchi diwaren uThane
aur shairi mein gharq ho jaane se
tum azim taKHliq-kar kahlate ho
zara dekho
azim musawwir picasso
taswiron mein rang aise bharta jaise ruh phunk raha ho
bichaara na-asudgi ka mara
taswiren zinda karne ki hasrat us ke andar hi mar gai
mardangi ki azmat ka azim label
us ke ehsas-e-kamtari ko baDhata raha
ek bar ke nau mah
hazar bar ke chaudah minute par bhaari hote hain
tum chain smoking kar ke bhi
chain ismokar nahin ban sakte
taKHliqiyat ka junun tumhein chaT raha hai
tum KHali ho kar bhi KHali nahin hote
isi liye
karb-e-musalsal mein mubtala ho
KHud ko kangal karne ke bawajud
tum
tisre darje ke taKHliq-kar hi rahoge
bhala tum
maut se zindagi taKHliq kar sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.