chaukidar
ek soft-drink kī qīmat meñ
december kī sardī meñ
jab hameñ apne bistar se
darvāze tak jaanā
nā-mumkin lagtā hai
vo hamārī chhatoñ kī nigahbānī
haDDiyoñ meñ chhed kartī
yaḳh-basta havāoñ se
laḌ kar kartā hai
koī nahīñ jāntā
us kā apnā gharānā
mahīne kī āḳhirī tārīḳheñ
kis aziyyat se kāTtā hai
aur phir
agle mahīne ke pahle hafte
vo apnī ḳhidmat
bezār chehroñ se
bhiik kī sūrat māñgtā hai
ek soft-drink ki qimat mein
december ki sardi mein
jab hamein apne bistar se
darwaze tak jaana
na-mumkin lagta hai
wo hamari chhaton ki nigahbani
haDDiyon mein chhed karti
yaKH-basta hawaon se
laD kar karta hai
koi nahin jaanta
us ka apna gharana
mahine ki aaKHiri tariKHen
kis aziyyat se kaTta hai
aur phir
agle mahine ke pahle hafte
wo apni KHidmat
bezar chehron se
bhik ki surat mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.