chautha quarter
sub.h sūraj
raat kī tīra-salāḳhoñ se nikal aayā
aur us ne shahar kī nañgī hathelī meñ
shuā-e-harkat-e-be-sūd kī ik kiil gaaḌī
aur saare shahr kī maḳhlūq
jaise apne apne
halqa-e-marg-e-musalsal kī taraf bhāgī
udhar chauthe quarter se vo niklī
pople muñh aur pichke gaal
make-up ke plastar meñ chhupā.e
fasionī kapḌoñ meñ kafnāyā buḌhāpā
jis tarah qabroñ pe koī shaḳhs
shahnā.ī bajā.e
aur hamesha kī tarah hamrāh thī
us kī javāñ beTī
ki jis kī sāñvlī sūrat
mohalle ke javāñ laḌkoñ meñ rozāna
laḌā.ī kā bahāna hai
vo din bhar yūñhī bāzāroñ meñ
apnī javāñ beTī ko uñglī se lagā.e
ghūmtī rahtī hai
jis par log kahte haiñ
ki ye buḌhiyā koī mashkūk aurat hai
isī baa.is mohalle meñ
kabhī chauthe quarter ko kisī ne
achchhī nazroñ se nahīñ dekhā
maiñ akasr sochtā huuñ
gar koī us ke quarter se gine
merā quarter bhī to chauthā hai
bas itnā farq
maiñ shā.ir huuñ
jab koī ġhazal yā nazm likhtā huuñ
to aḳhbāroñ meñ chhapvātā huuñ
yāroñ ko sunātā huuñ
jahāñ-bhar ko batātā huuñ
ki maiñ ne nazm likkhī hai
subh suraj
raat ki tira-salaKHon se nikal aaya
aur us ne shahar ki nangi hatheli mein
shua-e-harkat-e-be-sud ki ek kil gaDi
aur sare shahr ki maKHluq
jaise apne apne
halqa-e-marg-e-musalsal ki taraf bhagi
udhar chauthe quarter se wo nikli
pople munh aur pichke gal
make-up ke plastar mein chhupae
fasioni kapDon mein kafnaya buDhapa
jis tarah qabron pe koi shaKHs
shahnai bajae
aur hamesha ki tarah hamrah thi
us ki jawan beTi
ki jis ki sanwli surat
mohalle ke jawan laDkon mein rozana
laDai ka bahana hai
wo din bhar yunhi bazaron mein
apni jawan beTi ko ungli se lagae
ghumti rahti hai
jis par log kahte hain
ki ye buDhiya koi mashkuk aurat hai
isi bais mohalle mein
kabhi chauthe quarter ko kisi ne
achchhi nazron se nahin dekha
main akasr sochta hun
gar koi us ke quarter se gine
mera quarter bhi to chautha hai
bas itna farq
main shair hun
jab koi ghazal ya nazm likhta hun
to aKHbaron mein chhapwata hun
yaron ko sunata hun
jahan-bhar ko batata hun
ki main ne nazm likkhi hai
- Book : URDU-1983 (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.