chehre ki gard
gāḌiyoñ ke bahāo meñ bahte hue shor kī gard
mere dhuāñ bante chehre pe jamne lagī hai
maiñ pahle hī jamte hue ḳhuun kī
galtī saḌtī huī
ḳhvāhishoñ kī karāhat se sāñsoñ kī qai
karne kī ek sa.i-e-musalsal meñ masrūf huuñ
merā dil titliyoñ kī rifāqat kī zid kar rahā hai
magar maiñ use haDDiyoñ se tane jaal se kaise bāhar nikālūñ
kaḌī āzmā.ish hai lekin
chalo muskurāne kī be-kār ḳhvāhish jagā.eñ
hañsī kā pyāla
chalo chehre kī jhurriyoñ meñ uñDeleñ
agar ham kisī tarah bhī hañs na paa.eñ
to ik dūsre ke ġhalāzat bhare chehre ko noch Dāleñ
agar ham se ye bhī na ho paa.e to ro hī leñ
shāyad is tarah ham
apne gāloñ pe jamtī huī
gard kī tah ko dho leñ
gaDiyon ke bahao mein bahte hue shor ki gard
mere dhuan bante chehre pe jamne lagi hai
main pahle hi jamte hue KHun ki
galti saDti hui
KHwahishon ki karahat se sanson ki qai
karne ki ek sai-e-musalsal mein masruf hun
mera dil titliyon ki rifaqat ki zid kar raha hai
magar main use haDDiyon se tane jal se kaise bahar nikalun
kaDi aazmaish hai lekin
chalo muskurane ki be-kar KHwahish jagaen
hansi ka pyala
chalo chehre ki jhurriyon mein unDelen
agar hum kisi tarah bhi hans na paen
to ek dusre ke ghalazat bhare chehre ko noch Dalen
agar hum se ye bhi na ho pae to ro hi len
shayad is tarah hum
apne galon pe jamti hui
gard ki tah ko dho len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.