chehron ki be-chehragi
jidhar nazreñ uThātā huuñ udhar chehre hī chehre haiñ
magar in sab meñ ik be-chehragī sī dekhtā huuñ maiñ
koī sūrat banā kartī hai jis se shakl-e-insānī
har ik chehre ko is ḳhūbī se aarī dekhtā huuñ maiñ
laqab chehre kā zebā hai unhīñ ke vāste yaaro
jo ehsāsāt aur jazbāt kī tafsīr hote haiñ
na maano faisla merā ḳhud apne zehn se pūchho
kahīñ aurāq-e-sāda bhī kabhī tasvīr hote haiñ
jidhar nazren uThata hun udhar chehre hi chehre hain
magar in sab mein ek be-chehragi si dekhta hun main
koi surat bana karti hai jis se shakl-e-insani
har ek chehre ko is KHubi se aari dekhta hun main
laqab chehre ka zeba hai unhin ke waste yaro
jo ehsasat aur jazbaat ki tafsir hote hain
na mano faisla mera KHud apne zehn se puchho
kahin auraq-e-sada bhi kabhi taswir hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.