chhalang
ghar kī chhat par baiThā kab se
ik kavvā
bas chīḳh rahā thā
laakh bhagāne par na uḌā jab
sochā maiñ ne
jā kar us kā galā dabā duuñ
us kī choñch ko chiir ke rakh duuñ
lekin jab maiñ us ke aage
khaḌā huā to
mujh ko ye
mahsūs huā phir
kavve ke donoñ hī lab sile hue haiñ
chīḳhoñ kī jhankāreñ to
mere hī jism ke
ik kone se
phail rahī thiiñ
ghar ki chhat par baiTha kab se
ek kawwa
bas chiKH raha tha
lakh bhagane par na uDa jab
socha main ne
ja kar us ka gala daba dun
us ki chonch ko chir ke rakh dun
lekin jab main us ke aage
khaDa hua to
mujh ko ye
mahsus hua phir
kawwe ke donon hi lab sile hue hain
chiKHon ki jhankaren to
mere hi jism ke
ek kone se
phail rahi thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.