chhalawa
bikhrā sapnā pal meñ apnā qismat ne kyā khel dikhāyā
buuñd na jal kī ik bhī barsī nāhaq chhat par bādal aayā
kaahe dil ke vīrāne meñ chāhat kā ik ankur phūTā
jhoñkā ek havā kā aayā pal meñ ukhḌā jaḌ se buuTā
saayā thā jo haath na aayā jaanā jis ko manzil maiñ ne
tūfānoñ kā markaz thā vo samjhā jis ko sāhil maiñ ne
phir se ujḌī dil kī bastī aur huī jag meñ rusvā.ī
phir se kosā mūrakh man ko kaahe jhūTī aas lagā.ī
aas kā diip jalā kar dil meñ chhoḌ gayā mujh ko harjā.ī
vo to ek chhalāvā thā bas maiñ bad-qismat buujh na paa.ī
bikhra sapna pal mein apna qismat ne kya khel dikhaya
bund na jal ki ek bhi barsi nahaq chhat par baadal aaya
kahe dil ke virane mein chahat ka ek ankur phuTa
jhonka ek hawa ka aaya pal mein ukhDa jaD se buTa
saya tha jo hath na aaya jaana jis ko manzil main ne
tufanon ka markaz tha wo samjha jis ko sahil main ne
phir se ujDi dil ki basti aur hui jag mein ruswai
phir se kosa murakh man ko kahe jhuTi aas lagai
aas ka dip jala kar dil mein chhoD gaya mujh ko harjai
wo to ek chhalawa tha bas main bad-qismat bujh na pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.