chhat par barish baras rahi hai
chhat par bārish baras rahī hai
dīvāroñ par dhuul jamī hai
khiḌkī ke paT ab bhī khule haiñ
chiḌiyā andar jhāñk rahī hai
indar shor hai sannāTe kā
bāhar shor kā sannāTā hai
ajab sā ik bāzār lagā hai
gūñge boliyāñ bech rahe haiñ
andhe ye sab dekh rahe haiñ
shāyad kuchh hone vaalā hai
jaane kyā hone vaalā hai
chiḌiyā andar jhāñk rahī hai
chhat par barish baras rahi hai
diwaron par dhul jami hai
khiDki ke paT ab bhi khule hain
chiDiya andar jhank rahi hai
indar shor hai sannaTe ka
bahar shor ka sannaTa hai
ajab sa ek bazar laga hai
gunge boliyan bech rahe hain
andhe ye sab dekh rahe hain
shayad kuchh hone wala hai
jaane kya hone wala hai
chiDiya andar jhank rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.