chhoTi chhoTi baDaiyan
qatre qatre se ban gayā dariyā zarre zarre se ho gayā sahrā
abr-e-naisāñ banā hai būñdoñ se zindagī majmūa hai lamhoñ kā
ban ga.ī hai kalī kalī hī bahār
koī chhoTī sī shai nahīñ be-kār
ik zarā khul ke muskurā denā ik zarā sar kahīñ jhukā denā
ho chuke haiñ jo lāġhar-o-majbūr bojh un kā zarā uThā denā
bhaTke raahī ko raah batlānā aas māyūsgāñ kī ban jaanā
jab musībat saroñ pe mañDlā.e dost ham-sā.igāñ kā ban jaanā
bāteñ chhoTī haiñ phir bhī chhoTī nahīñ
in hī bātoñ se zindagī hai hasīñ
qatre qatre se ban gaya dariya zarre zarre se ho gaya sahra
abr-e-naisan bana hai bundon se zindagi majmua hai lamhon ka
ban gai hai kali kali hi bahaar
koi chhoTi si shai nahin be-kar
ek zara khul ke muskura dena ek zara sar kahin jhuka dena
ho chuke hain jo laghar-o-majbur bojh un ka zara uTha dena
bhaTke rahi ko rah batlana aas mayusgan ki ban jaana
jab musibat saron pe manDlae dost ham-saigan ka ban jaana
baaten chhoTi hain phir bhi chhoTi nahin
in hi baaton se zindagi hai hasin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.